Monday, July 9, 2007

usay main ne he likha tha

usay main ne he likha tha
k lahjay barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey

usay main ne he likha tha
yaqeen uth jaye to shayad
kabhi wapis nahi ata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay main he likha tha
k sheesha toot jaye
tokabhi phir jur nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapis mur nahi pata

usay kahna wo bey-maani adhura khat
usay main ne he likha tha

usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!

No comments: